Sunday, May 1, 2011

Aaj Phir Baarish....!.."Pehli Baarish"















Aaj phir baarish ki bundon ne aagaaj kiya hai...
Aaj phir masti ka aalam machla hai...
Aaj phir baadlon ne batla diye apne iraade...
Aaj phir hawao ne apna rukh badla hai...

Garmi ki tapti pahari mein sukoon jaise
Pyasi jamin par kuch rahat bahri si
Garm hawao ko kuch thanda ahsaas dilati
Mitti ki saundhi khushbu ko ghar le aati

Aaj phir suraj ki kirnon ko kisi ne rok diya hai...
Aaj phir baarish ki bundon ne aagaaj kiya hai...

Aaj maa dharti ke kaleje ne rahat payi hai
aur pedo ke paaton me bhi muskaan jagai hai
garmi ke mare dubak ke baithe the jo apne gharon me
aaj unhone bhi bahar aakar apni shakal dikhayi hai

Aaj phir logo ne picnic ka maza liya hai...
Aaj phir baarish ki bundon ne aagaaaj kiya hai...

Aaj paharo ko bhi dekha tar batar jhumte
Faslon ko dekha ek dujhe se baatein karte
Ghar ka aangan bhi hai aaj bhiga bhiga sa
Sadko pe bhi chha raha thoda sannata sa

Aaj phir garam pakodi ne masti ko parwaan kiya hai...
Aaj phir barish ki bundon ne aagaaz kiya hai...

Is mausam me bachhon ne unmaad bhara hai
Is mausam me youngsters ne romance bhara hai
Bade bujurgo ne bhi yaron is mausam me
Apne purane masti bhare dino ko yaad kiya hai

Aaj phir sabne badi masti se mausam ka didaar kiya hai...
Aaj phir baarish ki bundon ne aagaaj kiya hai...


.........When Ashish Jagetia writes.............

1 comment: