Wednesday, March 24, 2010

बस..उनकी….आशाओं पे जीना चाहता हु…!!!.."Aashayein"


















Is duniya me khud ko, aajmana chahta hu
Har dil me thoda pyaar jagana chahta hu
Manjil-e kitni hi mushkil kyon naa ho
Bujhte hue diye, phir se JALANA chahta hu

Raaste kathin hai lekin, himmat bhi hum me kam nahi
Beh jaye katra katra humara, phir bhi hai koi gum nahi
Chahe mein ha.a.ar jao…khud apne liye… par
Doosaron ke liye hamesha, mein.JEET jana chahta hu

Kitna hi ud le koi….anjaane ghamand se
Aasma pe ghar banana, mumkin nahi
Icchayein anant kyon naa ho kisi ki…magar
Jami pe rehke jami ko bhulana, mumkin nahi

Doosaron ki khushi me hi apni khushi dhondhte
Isi tarah hamesha,Bas jami pe hi REHNA chahta hu

Aa gaye hai jindagi mein, toh kuch aisa kare
Chale jaye kabhi hum toh bhi, humari yaadein rahe
Yaad aaye wo pal, jab hum-tum rang jamate the
Kabhi nervous scean mein bhi, kuch haste hasate the

Yo hi haste hasate kuch nikla hai, kuch niklega..! Aur me..
Jeevan kyari me inhi yadon ke, phool SAJANA chahta hu

Isi mausam me aapko PYAAR bhi hoga
Thoda thoda ishq ka khumaar bhi hoga
Dil naa mile toh dillagi ka kya fayada, par
Lajawabo ke liye kahi to koi lajawaab hoga

Yakeen nahi hai mujhe kisi ka dil dukhane mein
Mein to apno ki khushi se kisi se, DIL lagana chahta hu

Hum se jo ummedein lagaye baithe hai
Koshish yehi hai ki wo kabhi nirash naa ho
Vishwaas toh hai khud par, bina ruke chalne ka
Bas manjil pe jane wale, raste ki pehchhan ho

Log martein hai ek doosare par, par mazboor hu, mein
Apne chahne walon ki, AASHAON pe jeena chahta hu


..............Ashish Jagetia "The Only's Post"................

Tuesday, March 9, 2010

Yaadein....When we wud be ALUMNI...!!!..Cheers.!!!














Ye degree bhi lelo, ye naukari bhi lelo
Bhale chahe le lo mujhse Europe ka visa

Magar mujhko lauta do…college ki canteen
Who Chawale ki sabji samose ki chatni

Wo mama mami ka “Jai Shree Krishna” ka naara
Usi ring tone me bolo….TAaaa…RAaa.. RAa.. RAaa(Mama ji’s ring tone)

Wo aadhi aadhi raat me PPTs banana
Wo case studies ka bilkul samjh me naa aana

Wo class me dosto ki proxy lagana
Wo special comments se faculty ko chidhana

Yaad aayenge wo economist ke lecture
Mehmoud aur Mohammad ka hota tha mixture

Bhulaye nahi bhool sakta hai koi…
Wo my team with me….wo thoda saa ooiii…

Naa bhoolenge hum wo operations ke fundeee
Wo group technology…wo HP sir ke dandeee

Wo assignments ki kahani…wo report ka kissa
Copy-Paste kiya hai….Dher sara hissa

Wo ladkiyon ki style ka nirantar hi girna (Except 2-3)
Phir bhi confidence se unka…ghumna phirna

Wo chaupaal committee ka leadership style (Come forward, Students at the back)
Wo sweet sweet girls ka…..sweet sweet smile

Wo diwali me logo ko gift batne jana
har ek traffic signal pe tha Proton diwana

Wo cultural night ki thi alag hi masti
Anokhi thi cult comm ki har ek hasti

Wo bhel puri leaders ko leadership ka mauka
Aur badi hi masti me tour de Europa

Yaad aayega wo Germany ka mausam (-10’C)
Wo ek dusare pe barfbaari dhama dham

Wo massakali pe bhawron ka mandrana
Wo dean sir ka DN se baar baar darana

Kaise bhula de wo Marketing Strategy ki hasti
All the way here……..from …CIN-CIN-NA-TI

Chahe bhula de hum bachpan humara….
Ye yaadein rahegi “aashiyana” humara…

Yaad aayega har ek pal…ek jindagi ka ahsaas
koi nahi bhoolega ye sab….aisa hai Viswaas

…………………...Only Ashish…………………….