Saturday, August 6, 2011

क्या होता है.....जब तुम जिंदगी जीते हो !













क्या होता है जब तुम देखते हो आसमानों में,
क्या होता है जब तुम आँखे बंद करते हो
जब देखते हो कहीं झपकाए बिना पलकों को
क्या होता है, जब कुर्सी (chair) पे गोल गोल घूमते हो
इस सुकून भरे एहसास में, कही तुम हो
ढूंढो उसे , निकलके बाहर, जहा तुम गुम हो

सावन की हरियाली में जब तुम मचल उठते हो , क्या होता है
जब बारिश शुरू होते ही , मिटटी की खुशबू लेते हो
और बंद होने पर देखते हो , पेड़ो के पत्तो की ख़ामोशी
क्या होता है …जब , कांच की खिड़की से बारिश की बुँदे निहारते हो
इस मीठे एहसास में भी , कही तुम हो
ढूंढो उसे , निकलके बाहर, जहा तुम गुम हो

क्या होता है.. जब तुम देखते हो पहाडों से नीचे
या वही से हवाओं के झोंकों को , जब महसूस करते हो , क्या होता है !
जब लम्बे समय बाद …घर जाने का सोचते हो (students, professionals)
क्या होता है... जब तुम , सुबह जल्दी जग कर वापस सोते हो
इस बेकरारी में भी कही तुम हो
ढूंढो उसे , निकलके बाहर, जहा तुम गुम हो. .

क्या होता है , जब तुम फूलों को छूते हो
या फिर जब बहते हुए पानी से खेलते हो , ..क्या होता है !
पूरी श्रद्धा से जब मंदिर में सर झुकाते हो
क्या होता है … जब किसी असहाय की तुम कुछ मदद कर देते हो
इस पवित्रता में भी कही तुम हो
ढूंढो उसे , निकलके बाहर, जहा तुम गुम हो. .

जब दोस्तों के साथ ठहाके लगते हो , क्या होता है
जब एक साथ सारे घरवालों के साथ बैठकर बातें करते हो
क्या होता है … जब ग्रुप में पिकनिक पर जाने का सोचते हो
क्या होता है …जब अपनी मेहनत को कामयाब होते हुए देखते हो
इस अट्टहास में भी तुम ही हो
ढूंढो उसे , निकलके बाहर, जहा तुम गुम हो. .

क्या होता है …जब पानी पूरी के ठेले को देखते हो
या गरम पकोड़ी चटनी के साथ खाते हो
क्या होता है ….जब नमकीन में प्याज दल के , निम्बू निचोड़ते हो
या खाना लज़ीज़ होने पर तुम जब उंगलिया चाटते हो
इस चटकारे स्वाद में भी कही तुम हो
ढूंढो उसे , निकलके बाहर, जहा तुम गुम हो. .


..............When "The Only" writes...........................

Kya hota hai jab tum dekhte ho aasmano mein
Kya hota hai jab tum aakhe band karte ho
Jab dekhte ho kahi jhapkaye bina palko ko
Kya hota hai, Jab Kursi (chair) pe gol gol ghumte ho
Is sukoon bhare ehsaas mein, kahi tum ho
Dhondho use, nikalke bahar , jaha tum gum ho

Sawan ki hariyali mein jab tum machal uthte ho, kya hota hai
jab baarish shuru hote hi, mitti ki khushboo lete ho
Aur band hone par dekhte ho, pedo ke patto ki khamoshi
Kya hota hai…Jab, Kaanch ki khidki se barish ki bunde niharte ho
Is meethe ehsaas mein bhi, kahi tum ho
Dhondho use, nikalke bahar , jaha tum gum ho

Kya hota hai jab tum dekhte ho paharo se neeche
Ya wahi se hawaon ke jhonk ko, jab mehsoos karte ho, Kya hota hai !
jab lambe samay baad …ghar jane ka sochte ho (students, professionals)
Kya hota hai jab tum, subah jaldi jag kar wapas sote ho
Is bekarari mein bhi kahi tum ho
Dhondho use, nikalke baahar , jaha tum gum ho..

Kya hota hai, jab tum phoolon ko chhute ho
Ya phir jab behte hue pani se khelte ho, ..kya hota hai!
Poori sharadha se jab mandir me sar jhukate ho
Kya hota hai… jab kisi asahay ki tum kuch madad kar dete ho
Is pavitrata me bhi kahi tum ho
Dhondho use, nikalke baahar , jaha tum gum ho...

Jab dosto ke saath thahake lagate ho, kya hota hai
Jab ek saath sare gharwalon ke sath baithka kar baatein karte ho
Kya hota hai… jab group me picnic par jane ka sochte ho
Kya hota hai... jab apni mehnat ko kamyab hote hue dekhte ho
Is attahaas mein bhi tum hi ho..
Dhondho use, nikalke baahar , jaha tum gum ho...

Kya hota hai…Jab pani poori ke thele ko dekhte ho
Ya garam pakori chatni ke saath khate ho
Kya hota hai….jab namkeen me pyaaj dal ke, nimbu nichodte ho
Ya khana laziz hone par tum jab ungliya chatate ho
Is chatkare swaad mein bhi kahi tum ho
Dhondho use, nikalke baahar , jaha tum gum ho...


..............When "The Only" writes...........................

Sunday, May 1, 2011

Aaj Phir Baarish....!.."Pehli Baarish"















Aaj phir baarish ki bundon ne aagaaj kiya hai...
Aaj phir masti ka aalam machla hai...
Aaj phir baadlon ne batla diye apne iraade...
Aaj phir hawao ne apna rukh badla hai...

Garmi ki tapti pahari mein sukoon jaise
Pyasi jamin par kuch rahat bahri si
Garm hawao ko kuch thanda ahsaas dilati
Mitti ki saundhi khushbu ko ghar le aati

Aaj phir suraj ki kirnon ko kisi ne rok diya hai...
Aaj phir baarish ki bundon ne aagaaj kiya hai...

Aaj maa dharti ke kaleje ne rahat payi hai
aur pedo ke paaton me bhi muskaan jagai hai
garmi ke mare dubak ke baithe the jo apne gharon me
aaj unhone bhi bahar aakar apni shakal dikhayi hai

Aaj phir logo ne picnic ka maza liya hai...
Aaj phir baarish ki bundon ne aagaaaj kiya hai...

Aaj paharo ko bhi dekha tar batar jhumte
Faslon ko dekha ek dujhe se baatein karte
Ghar ka aangan bhi hai aaj bhiga bhiga sa
Sadko pe bhi chha raha thoda sannata sa

Aaj phir garam pakodi ne masti ko parwaan kiya hai...
Aaj phir barish ki bundon ne aagaaz kiya hai...

Is mausam me bachhon ne unmaad bhara hai
Is mausam me youngsters ne romance bhara hai
Bade bujurgo ne bhi yaron is mausam me
Apne purane masti bhare dino ko yaad kiya hai

Aaj phir sabne badi masti se mausam ka didaar kiya hai...
Aaj phir baarish ki bundon ne aagaaj kiya hai...


.........When Ashish Jagetia writes.............